The title to this post was a status message I chanced on a couple of days back.
The following is what it led me to, reproduced with no express permission from the user of the original status message; but then again, that shouldn't invite too much of a legal hassle one hopes.
And thus..:
Dil Karta Hai Sadkon Par Zor Se Gaoon
Jaane kya hai hawa ke is aangan mein
Har rang rukh kuchh badla badla sa
Baatein kuch dheemi dheemi si
Alfaaz chuninde taaron se.
Dil karta hai sadkon par zor se gaoon
Ek dhun jo parindon se ja milein;
Phoolon ki har ek aahat ho jis par
Ki awaaz bhi us ko kam padein.
Us roz ka intezaar rahega har dum
Jab tareekh ke saath dil bhi nayi khilein;
Jab yaadein ruke na rokein mann ko
Jahaan kal ke saath aaj bhi saath rahein.
Dil karta hai sadkon par zor se gaoon
Aaj ke is din mein bhi
Jab kadam kahin khoye huey
Sau baat zubaan par tiki
Ek dil jo ghoome baawra
Ek aur jo jaanein na bhala
In dilon ke beech hum hain khade
Ab aur nahin jahaan the badhe
Dil karta hai sadkon par zor se gaoon
Dil karta hai sadkon par zor se gaoon...
---
Yes its good to be back.. :)
No comments:
Post a Comment